Aayi thi mere ghar ek nanhi pari
Bhaiyon ke beech wah ek akeli
Najon se pala, palkon par rakh kar
Beti meri, sabse pare sabse upar
Uttam siksha, sikshit vichar
Banaya usko maine avikar
Byah kar toh woh chali gayi
Par beti meri wah ab bhi thi
Samay ne bhi apni chaal chali
Main akela aur umar bhi ho chali
Beton se rooth, mann ko maar
Maine haanth badhaya apni lado ki aor
Thama usne mujhe, main abhari tha
Par anjaan tha ki yah karz bahut bhari tha
Jaise hi lachari ne jakda, main khatka usko
Ruksat kiya us bebasi mein bhi usne mujhko
Aankhen naam thi, mann pareshaan
Kya yahi thi meri dulari, mera abhimaan
Anjaano ke beech, asahaye, usne choda mujhe
Jee ke bhi main kya karta, ek bojh ke jaise
Abhaav hota toh mera dil na itna dukhta
Beton se pyaari meri beti na hoti toh main zikr hi na karta
Par jo hua so hua, bas na mera tha isme
Na sukun hai rooh mein ab, na takat hai mujh mein
Main chalta hoon, bas dua karta hoon rab kabool lijo
Agle janam mujhe aisi bitiya na dijo!
No comments:
Post a Comment